Sye Raa Title Song - Lyrics | Sye Raa Narasimha Reddy | Chiranjeevi | Amitabh Bachchan

Song – Sye Raa
Movie – Sye Raa
Singers – Sunidhi Chauhan, Shreya Ghoshal
Musicians – Amit Trivedi
Lyricists – Swanand Kirkire

Lyrics
Pavitra bhoomi Bhaarti ki maati pe tu janma
Roop hai tu Narsingh ka
Charitra tera tarikhein bhi garv se likhengi
Chamakta rahe tu surya sa

Mrityu ne hi tujhko lambi umar hai de di
Sada ko hai amar teri yeh katha
Yeh aasmaan bhi jhuk ke pranaam tujhko karta
Tu aaya hai yahan nayi si subah sa

Ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
Savera teri saanson mein basa
Ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
Andhera tere aane se hata

Ho ho sye raa, sye sye sye raa
Ho ho sye raa
Ho ho sye raa, sye sye sye raa
Ho ho sye raa

Ghamandi se firangiyon ke aage
Himmaton se tu dahadta
Jhuke jhuke dare huve saron pe
Veerta ka mantra jhaadta

Lalkaar tu jo yeh kehti hai
Maati ke liye har saans ko
Nichhawar kar do na

Boond boond karke itne log toone jode
Samudra veerta ka hai bana
Prachand aandhi banke
Jo ki duniya ko hila de

Firangiyon ke zulm se lada
Yeh pehli hai ladaai
Jo janta ne hai chhedi
Yoon bijli ki tarah garaj rahi sada

Ghulami ke andheron ko rakh mein milane
Mashalon ki tarah sulag sulag raha

Ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
Savera teri saanson mein basa
Ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
Andhera tere aane se hata

Ho ho sye raa, sye sye sye raa
Ho ho sye raa
Ho ho sye raa, sye sye sye raa
Ho ho sye raa

Daas banke jeene se achha hai
Yudh mein hi lad lad ke mar jayein hum
Mushkilon se mila hai manushya ka janam
Ismein kyun hum sahein yeh sitam

Bhai, bandhu, sakha, putra, maa aur behan
Bhoolkar ke aage badhte jayein hum
Ho dikhe ek par banein lakh hum
Lakshya ki taraf badhein kadam

Yudh bhoomi jao
Yudh bhoomi jao
Saare sinha banke
Saare sinha banke
Shoor hai tu, shoor hai tu
Veer hai tu, veer hai tu
Dushmaon ko ab jadon se hi tum ukhad do

Ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
Savera teri saanson mein basa

Post a Comment

0 Comments